Thursday, May 16, 2013

TAREEF



Tareef


                    [There are two categories in praising, one where poet is prasing beloved
                    or prasing himself ( which is called ta`alli )]

        DostoN us chashm-o-lab ki kuch kaho jis ke baghair
        gulistaN ki baat raNgeen hai na mai-khaane ka naam       ( Faiz )
        [ chasm = eyes, lab = lips, mai-khaana = bar]
        **********

        Woh cheez kehte hain firdos-e-gumshuda jis ko
        kabhi kabhi teri aankhoN mein paai jaati hai             ( Jigar )
        [ firdos = paradise, gumshuda = lost]
        **********

        Yeh baat, yeh tabassum, yeh naaz, yeh nigahen
        aakhir tumhi bataao kyun kar na tumhen chaahen           ( Josh )
        **********

        Nazuki uske lab ki kya kahiye
        pankhudi gulab kisi hai
        Meer un neem-baaz aaNkhon mein
        saari masti sharaab ki si hai                            ( Meer )
        [ Nazuki = delicacy, pankhudi = petals]
        **********
       

        Woh aaye bazm meiN itna to Meer ne dekha
        phir uske baad chiraaghoN meiN roshni na rahi            ( Meer )
        [ bazm = gathering/assembly ]
        **********

        Taab-e-nazaara nahiN aaina kya dekhne duN
        aur ban jaayeNge tasveer jo hairaaN hoNge                ( Momin )
        [ Taab = courage,  nazaara = scene, hairaaN = surprised ]
        **********

        Neend aa rahi unko, aankhen jhapak rahi haiN
        lo baNd ho raha hai mera sharaab khaana                  ( Shakeel )
        **********

        Aaj kya baat hai ke phool ka
        raNg teri haNsi se milta hai
        bhool jaata huN gham us ke
        woh kuch is saadagi se milta hai
        **********

        Aap ke naam se taabinda hai unwaan-e-hayaat
        warna kuch baat nahi thi mere afsaane meiN               ( Saleem Geelaani )
        [ taabinda = bright,  unwaan = title, hayaat = life]
        **********

        Door tak mujh ko ada uski nasha deti rahi
        waqt-e-rukhsat us ka muD kar dekhna achcha laga
        **********

        Ek teri tamanaa ne kuch aisa nawaaza hai
        maangi nahi jaati ab koi dua hum se
        [ nawaaza = favored ]
        **********

        Hazaar-ha yeh dekha keh unke chehre se
        nazar jo laut gai, aankho mein roshni na rahi            ( Taish )
        [ Hazaar-ha = thousand times]
        **********

        Log kehte haiN neel-kamal jise woh to 'Qateel'
        shab ko un jheel si aaNkhoN meiN khila karta hai         ( Qateel Shifaai )
        **********

        Nahi woh be-hijaab chaNd sa keh nazar ka koi asar na ho
        use itni garmi-e-shauq se badi der tak taka na karen     ( Basheer Badar )
        [ be-hijaab = shameless,  garmi-e-shauq= passion]
        **********

        Reh gaye ashk meri aaNkh meiN moti ban kar
        unke daaman meiN chamakte to sitaare hote
        **********

        Tumhare jaate hi taareek ho gai duniya
        qamar meiN noor sitaaroN mein roshni na rahi             ( Raaz Yazdaani )
        [ Qamar = Moon]
        **********

        Unki aankho mein larazte huye aansun ki qasam
        main ne saahil pe machalte huye tufaN ki dekha           (Naaz)
        **********

        Woh phool sa chehra, woh bhari bazm ki nazren
        kanton mein ghira husn-e-gulistan nazar aaya             ( Azaad )
        **********

        Bharam khula hai jab us se ham-kalaam huye
        hameN bhi za'am tha pyaare sukhan-shanaasi ka
        [ ham-kalam = talking, za'am = proud, sukhan-shanaasi = to know how to speak]
        **********

        Nigaah-e-naaz utarna ise naheen kehte
        dilon mein reh gayeen lehra ke bijliyaan teri            ( Firaq Gorakhpuri)
        **********

        Farsh-e-maikhaana pe jugnoo se chamak jaate hain
        deedani hai tiri aahista-ravi, ai saaqi!                 ( Firaq Gorakhpuri)
        [ Farsh = floor, deedani = worth seeing,
          aahista-ravi = walking slowly]
                                         **********

        tashbeehen kharhee hain 'haath baandhe'
        kya kahiye ke kya tira badan hai?                        ( Firaq Gorakhpuri)
        [ tashbeehen = metaphors, haath baandhe = requesting/pleading]
        **********

        Kis ne yeh jalwa-numaai ki hai
        bijliyion ne bhi duhaai di hai
        **********

No comments: