Thursday, May 16, 2013

BEWAFAAI



Befawaai

        Wafa ke zikar par tum kyuN sambhal ke baiTh gaye
        tumhari baat nahi baat hai zamaane ki
        **********

        Nahi shikwa mujhe kuch be-wafaai ka teri hargiz
        gila tab ho agar tu ne kisi se bhi nibhaai ho            ( Dard )
        **********

        Mujh ko to hosh nahiN tum ko khabar ho shaayad
        log kehate haiN ki tum ne mujhe barbaad kiyaa            ( Josh )
        **********

        Meri saari zindagi ko be-samar us ne kiya
        umar meri thi magar us ko basar us ne kiya
        shehar me woh mautbar meri gawaahi se hua
        aur us ne shehar me na-mautbar mujh ko kiya              ( Muneer Niyazi)
        [ be-samar = fruitless, mautbar = respectable, gawaahi = witness]
        **********

        Apni tabaahiyoun ka mujhe koi gham nahi
        tum ne kisi ke saath mohabbat nibha to di                ( Saahir )
        **********

        Kya haseen khawaab mohabbat ne dikhaya tha hamein
        khul gai aankh, to ta'beer pe rona aaya                   ( Shakeel )
        **********

        Milta rah woh khuwaab me kitne khulus se
        aaNkhe khuli to khuwaab ki ta'beer ham na the
        **********

        O wafa naa-aashna kab tak sunuN tera gila
        be-wafa kehte haiN tujh ko aur sharmaata huN maiN        ( Agha Hashar )
        [ naa-aashna = stranger, gila = complaint]
        **********

        Woh saari khushiyaaN jo us ne chaheeN uTha ke jholi meiN apni rakh li
        hamare hisee meiN azar aaye, jawaaz aaye, usool aaye
        [ azar = excuse, jawaaz = reasons, usool = rules]
        **********

        Zara si der mein tum ne nigaaheN pher leiN mujh se
        wafa ka hashar itna mukhtasar dekha nahi jaata
        [ mukhtasar = short]
        **********

        Kisi be-wafa ki khaatir yeh junuN Faraaz kab tak
        jo bhula chuka hai tum ko use tum bhi bhool jaao
        [ junuN = madness]
        **********

        Woh zindagi ho keh duniya Faraaz kya kijiye
        jis se ishq karo be-wafa nikalti hai
        **********

        Tere wade pe jiye to yeh jan ki jhoot jana
        khushi se mar na jate gar aitbar hota                    ( Ghalib )
        **********

Tanz

        Ehbaab ko rahi mere ayub ki talash
        maiN pur-khulus un ke hunar tolta raha
        [ Ehbaab= friends/relatives, ayub = weeknesses,
                                           pur-khulus= sincere, hunar=skill/art]
        **********     

        Apne kiye par ham donoN haiN itne sharminda
        dil ham se katraata hai aur ham dil se katraate haiN     ( Qateel Shifaai )
        **********

        Kabhi afsos aata hai kabhi rona aata hai
        dil-e-beemar ke haiN do hi ayaadat wale                  ( Zauq )
        **********

        Mutmaein hun tere tabassum se
        mere gham ka koi gawah to hai                            ( Shakeel )
        **********

        Har ek sawal ka jawaab kya deta
        maiN lakht lakht badan ka hisaab kya deta
        jo ek lafz ki khushbu na rakh saka mehfooz
        maiN uske haath me poori kitaab kya deta
        [lakht = piece, "lakht lakht" = broken in pieces]
        **********

        Hausla kis me hai Yusuf ki kharidaari ka
        ab to mehangaai ke charche haiN ZulaikhaaoN mein
        [ Hausla = courage ]
        **********

        Is qadar qahat-e-wafa hai meri duniya meiN nadeem
        jo zara haNs ke mile us ko maseeha samjhuN
        [ qahat = defeciency/lacking, maseeha=christ/one who can give life]
        **********

        Is ko naa-qadri-e-aalam ka sila kehte haiN
        mar gaye ham to zamaane ne bahut yaad kiya
        [ naa-qadri = unappreciative, aalam = world, sila = return]
        **********

        Is daur ka m'ayaar-e-mohabbat bhi hai daulat
        Thukraao magar kuch meri qeemat to laga do
        [ m'ayaar = standards]
        **********

        Kuch to tere mausam hi raas kum aaye
        aur kuch meri miTTi me baghawat bhi bahut thi
        [ Raas = suit, miTTi = soil, baghawat=rebellion/revolution]
        **********

        Khafa bhi woh tha, tark-e-taa'ulluq bhi kiya usne
        magar ek umar se meri pashemaani nahi jaati
        [ pashemaani = guilt ]
        **********

        KahaN se seekh li tum ne bhi yeh adaa-kaari
        tumhaari aaNkhoN meiN aaNsu ajeeb lagte haiN
        **********

        Mujh mein ek aib bada hai keh wafadar bhi huN
        tum meiN do wasf keh bad-khu bhi ho maghroor bhi
        [ aib = weekness, wasf = qaulities,  bad-khu = bad habits]
        **********

        Mere fareb-e-nazar ne use bulaNd-qaamat bana diya tha
        ittefaaqan jo baam se utra to ek baar dekha tha
        [ bulaNd-qaamat = tall,  baam= roof/terrace]
        **********

        Mohabbat ko samajhna hai to naaseh khud mohabbat kar
        keh saahil se kabhi andaazaa-e-tufaaN nahi hota
        [ naaseh = preacher, andaazaa = estimatation]
        **********

        Tu aur chashm-e-lutf nai waardaat hai
        meri nigaah ne mujhe dhoka diya na ho                    ( Arzoo Lukhnovi)
        [ chams-e-lutf = favor, waardat = incident]
        **********

        Tum aasmaN ki bulandi se jald laut aana
        mujhe zameen ke masaa-yal pe baat karni hai
        [ masaa-yal = problems]
        **********

        Tum tark-e-ta'alluq ka kisi ko na bataana
        maiN logoN se keh dooNga keh fursat nahi milati
        [ tark-e-ta'alluq = breaking of relation]
        **********

        Kal shab nazar aayeN jo be-parda chaNd bibiyaaN
        Akbar ghairat-e-qaumi se gadh gaya
        poocha jo aap ka parda kahaN gaya
        haNs ke boli, aqal pe mardon ki pad gaha                 ( Akbar Allhabadi )
        **********

        Is tauba per hai naaz tujeh zaahid is qadar
        jo Toot kar shareek ho mere gunaah meiN                  ( Daagh )
        [ naaz = proud, zaahid = preacher, shareek = join]
        **********

        Kar raha tha gham-e-jahaaN ka hisaab
        aaj tum yaad behisaab aaye                               ( Faiz )
        **********

        Woh baat saare fasaane me jis ka zikar na tha
        woh baat unko bahut naagawar guzri hai                    ( Faiz )
        [ naagawar = unpleasant]
        **********

        Yun hi mausam ki ada dekh kar yaad aaya
        kis qadar jald badal jaate hain insan janaaN             ( Faraaz)
        Dil yeh kehta hai keh shaayad ho afsurda tu bhi
        dil ki kya baat kareN dil to hai naadaaN jaanaaN
        [ janaaN = dear/as loving as life]
        ********

        Aa keh ab tasleem kareN tu nahi to maiN sahi
        kaun maanega keh ham donoN meiN be-wafa koi nahi         ( Faraaz )
        [ tasleem = accept]
        **********

        Ab to mujh ko bhi nadaamat hai apni wafa pe
        mukhtalif kitna zamaane se chalan mera tha               ( Faraaz )
        [ nadaamat = guilt, mukhtalif = different, chalan = style]
        **********

        Bas itna farq hai Yusuf meiN aur mujh mein Faraaz
        keh us ko ghair mujhe yaar bech dete haiN
        **********

        Ki mere qatal ke baad usne jafa se tauba
        haai us zood-pashemaaN ka pashemaaN hona                   ( Ghalib )
        [ zood = quick, pashemaan=repentant]
        **********

        HaaN nahi woh wafa-parast jaao woh bewafaa sahi
        jis ko ho jaan-o-dil azeez us ki gali mein jaaye kyun    ( Ghalib )
        **********

        Ghalib bura na maan jo waa'z bura kahe
        aisa bhi koi hai keh sab achcha kaheN jise
        [ waa'z= speaker/preacher]
        **********

        Maghroor tha kamaal-e-sukhan per bahut Hafeez
        hum ne bhi wah wah na ki, hum bhi chup rahe    
        [ kamaal = experties, sukhan = speech]
        **********

        Yeh niyaaz-e-gham khuwaari yeh shikast-e-dildaari
        bus nawazish-e-jaanaaN dil bahut pareshaaN hai            ( Majrooh )
        [ niyaaz = desire,  gham-khuwaari = shring sorrow
          dildaari = consolation, nawazish = kindness, jaanaaN = sweatheart]
        **********

        Tum mere liye ab koi ilzaam na dhoondo
        chaaha tha tumheN ek yahi ilzaam bahut hai                 ( Saahir )
        **********

        Kaun rota hai kisi aur ki khaatir aie dost
        sab ko apni hi kisi baat pe rona aaya                    ( Saahir )
        **********

        Woh agar buraa na maaneN to jahan-e-raNg-o-bu meiN
        maiN sukun-e-dil ki khaatir koi dhund lun sahaara        ( Shakeel )
        **********

        Ba-wafa sahi tum, maiN ghalat samjha tha
        maan leta hun aisi bhi wafa hoti hai                    ( Shakeel )
        **********

        Khalaq ki be-khabari hai yaa meri ruswaai
        log mujh ko hi sunaate haiN fasaane mere
        [ khalaq = people]
        **********

        Khalaq ki saNg-zani meri khataaoN ka sila
        tum to ma'soom ho tum zara door ho jaana
        [ saNg-zani = stone throwing, khataaoN = sin, sila = return]
        **********

        Aap kehte haiN keh auroN ne kiya ham ko zaleel
        bandaa-parwar kahiN apnoN hi ka yeh kaam na ho
        [ zaleel = humiliate]
        **********

        Jin ke aaNgan main ameeri ka shajar lagta hai
        un ka har aib zamaane ko hunar lagta hai
        [ aaNgan = frontyard, shajar = tree, aib = faults/weekness,
          hunar = skill/art]
        **********

        Aap lillah meri fikar na kijiye hargiz
        aa gaye haiN bas yuNhi shauq ke mare aaNsu
        mere hoNtoN ko to jumbish bhi na hogi lekin
        shiddat-e-gham se jo ghabra ke pukaare aansu
        [ lillah = for god sake, jumbish = movement ]
        **********

        Baahar se salaamat huN, na andar se shikasta
        yaaroN mujhe jeene ki ada kyuN nahi aai
        [ shikasta = broken ]
        **********

        Khud-numaai to naheen shevaa-e-arbaab-e-vafaa
        jin ko jalna ho woh aaraam se jal jaate haiN             ( Qateel )
        [ shevaa = habit, arbaab-e-people = faithful people]
        **********

        Kuchh aisa ho, dam-e-aakhir na aayeN woh ayaadat ko
        unheN apne kiye par yooM pashemaaN kaun dekhe ga? 
        naf's ke saath hi qaid-e-ta'alluq toot jaati hai!
        palat kar phir soo-e-gor-e-gharibaaN kaun dekhe ga?      ( Makhmoor)
        [nafs = breath, soo = in the direction, gor = grave]
        **********

        Shikva-e-be-tawajjohi ab to naheen tujhe,Firaq?
        tok'ti hai nigaah-e-naaz aaj to baat baat mein           ( Firaq )
        **********

        Is daur ke insaan vafa bhool gaye hain
        be-chaare farishte hain khata bhool gaye hain            ( Khumar Barabanqvi )
        **********

No comments: